kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
is imtihan men magar surḳh-ru to hona hai
hamare paas basharat hai sabz mausam ki
yaqin ki fasl laga.en numu to hona hai
main us ke baare men itna ziyada sochta huun
ki ek roz use ru-ba-ru to hona hai
lahuluhan rahen ham ki shaad kaam rahen
sharik qafila-e-rang-o-bu to hona hai
koi kahani koi raushni koi surat
tulu mere ufuq se kabhu to hona hai
Leave a Reply