kis sher men sana-e-rukh-e-mah-jabin nahin
hai asman-e-husn ghazal ki zamin nahin
kyunkar kahun ki tum sa koi naznin nahin
aajiz kuchh ai hasin mira husn-afrin nahin
ik ik sukhan pe karte hain sau sau nahin nahin
kya dusra jahan men tum sa hasin nahin
tujh sa jahan men ai yam-e-khubi hasin nahin
hai mauj-e-bahr-e-husn ye chin-e-jabin nahin
achchhi nahin hai roz ki ai naznin nahin
haan haan payam-e-vasl pe kijiye nahin nahin
kaabe men but-kade men na dil men na arsh par
ai but kahan nihan hai ki milta kahin nahin
jalva tira kahan nahin ai asman-e-husn
jis ja falak na ho koi aisi zamin nahin
tanhai-e-lahad se na ghabraen kis tarah
munis nahin shafiq nahin ham-nashin nahin
paiman-shikan jahan men na hoga huzur sa
ifa-e-vaada tum se agar ho yaqin nahin
kya ham-sari karega tiri mah-e-asman
abru nahin tiri si tiri si jabin nahin
maujud jism men hai par ankhon se hai nihan
tar-e-nigah hai kamar-e-naznin nahin
ro-ro ke hal-e-ishq jo kahta huun un se main
hans hans ke mujh se kahte hain ham ko yaqin nahin
kis din unhon ne sidhi tarah ham se baat ki
ulti hamare qatl pe kab astin nahin
vo dil udaas hai ki jo khali hai ishq se
viran hai vo makan ki jis men makin nahin
bosa talab kiya sar-e-mahfil jo yaar se
boli haya-e-ru-e-nigarin nahin nahin
mayus vasl se dil-e-gham-ghin hai kis qadar
har chand ham-kanar hain vo par yaqin nahin
ankhon men nuur dil men ziya siine men safa
jalva kahan kahan tira ai naznin nahin
Leave a Reply