kis qayamat ki ghuTan taari hai
ruuh par kab se badan taari hai
kaun ye saya-fagan hai aḳhir
mere suraj pe gahan taari hai
baat kya aur na.i ham sochen
jab vahi charḳh-e-kuhan taari hai
sirf ham hi to nahin TuuTe hain
raston par bhi thakan taari hai
‘shaz’ uḌta hi chala jaata huun
kaisi ḳhushbu ki lagan taari hai
Leave a Reply