kis qadar dushvar tha ye mas.ala hal kar diya
ek sargoshi men us ne mujh ko pagal kar diya
jaane ye tasir hathon men kahan se aa ga.i
itifaqan us ko chhu kar main ne sandal kar diya
jin ki jumbish par kabhi tha vaqt ka dar-o-madar
vaqt ne dhundla unhin ankhon ka kajal kar diya
qa.ede qanun saare rakh diye bala-e-taq
ham ne is duniya ko insanon ka jangal kar diya
duur kar paaya na jab tarikiyan koi ‘sharar’
aḳhirash apne qalam ko main nai mash.al kar diya
Leave a Reply