• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Munh Se Zindagi Ko Wo raKHshanda Kah Saken

Kis Munh Se Zindagi Ko Wo raKHshanda Kah Saken

kis munh se zindagi ko vo raḳhshanda kah saken

jo mehr-o-mah ko bhi na tabinda kah saken

vo din bhi huun ghubar chhaTen andhiyan haTen

aur gul ko rang-o-bu ka numa.inda kah saken

taaza rakhen sada ḳhalish-e-zaḳhm ko ki ham

jo ab na kah sake kabhi a.inda kah saken

zindan men koi rauzan-e-zindan to ho ki log

jis haal men bhi dekhen hamen zinda kah saken

har shai badal rahi hai ajab ujlaton men rang

koi to naqsh ho jise pa.inda kah saken

dil ke siva hai kaun sa aisa charagh shaam

be-nur ho ke bhi jise raḳhshanda kah saken

sadiyon nava-garon ko mayassar na aa mile

vo giit jin ko hasrat-e-sazinda kah saken

is daur men har ik ko hai ḳhud apni justuju

koi nahin jise tira joinda kah saken

har su udaas chehre hain itne ki ab ‘nasim’

kis ko dayar-e-dard ka bashinda kah saken

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla

poet

Wo Jo KHud Apne Badan Ko Saeban Karta Nahin

Ziyan Gar Kuchh Hua to Utna Jitna Sud Hota Hai

Subh-Dam Hai Ye Tabiat Kaisi

Silsila KHatm Hua Jalne Jalane Wala

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet