kis din ba-rang-e-zaḳhm naya gul khila nahin
kis shab ba-faiz-e-ashk charaghan hua nahin
ik sahm hai ki har kahin rahta hai saath saath
ik vahm hai ki aaj bhi dil se gaya nahin
ai dost rah-e-zist men chal ehtiyat se
girte hue ko koi yahan thamta nahin
go zehn se shabih tiri mahv ho ga.i
lekin tire ḳhayal ka suraj bujha nahin
man ka tamam zauq-e-safar ghaT ke rah gaya
tan ke samundaron men kahin rasta nahin
‘a.ali’ varud-e-sher men vaqfa baja magar
ab ke to ek umr hui kuchh kaha nahin
Leave a Reply