kidhar ka tha kidhar ka ho gaya huun
musafir kis safar ka ho gaya huun
khuda us ko sada pur-nur rakkhe
main taara jis nazar ka ho gaya huun
dhare jaenge sab ilzam mujh par
main hissa har khabar ka ho gaya huun
mujhe ayyariyan sab aa gai hain
main ab tere nagar ka ho gaya huun
tiri nazron ke ik farman hi se
main qaidi umr bhar ka ho gaya huun
mujhe ab ishq mitti se nahin hai
main ashiq mal-o-zar ka ho gaya huun
rivayat chhod baitha huun main apni
main dushman apne ghar ka ho gaya huun
vo jis ko shaeri kahte hain ‘azim’
main ghayal us hunar ka ho gaya huun
Leave a Reply