• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Khincho Aashiq-Tishna-Jigar Ke Tir Pahlu Se

Na Khincho Aashiq-Tishna-Jigar Ke Tir Pahlu Se

sheikh-ibrahim-zauq

na khincho ashiq-tishna-jigar ke tiir pahlu se

nikale par hai misl-e-mahi-e-tasvir pahlu se

na le ai navak-afgan dil ko mere chiir pahlu se

ki vo to ja chuka saath aah ke juun tiir pahlu se

dil-e-sipara ko le taank tavizon men haikal ke

na sarka ye hamail ai but-e-be-pir pahlu se

vo hon be-dast-o-pa bismil rasai jab na haath aai

kiya ta pa-e-qatil az tah-e-shamshir pahlu se

asir-e-zulf divane hain dekh ai pasban shab ko

daba kar baith un ke paanv ki zanjir pahlu se

musavvir laila o majnun ki nakami pe hairan hain

kabhi baitha na mil kar pahlu-e-tasvir pahlu se

ye dil lab-tishna tegh-e-yar ka hai raat bhar karta

sada-e-al-atish juun nala-e-shab-gir pahlu se

ajab hasrat ka aalam tha ki majnun kahta tha paiham

chhute pahlu mire mahmil ka ya taqdir pahlu se

na kahna ustukhvan un ko ye aalam laghari ka hai

ki hai dikhla raha mera dil-e-dil-gir pahlu se

khayal-e-abru-e-janan nahin ab bhulta ik dam

sipahi hai juda karta nahin shamshir pahlu se

tamam ahl-e-sukhan bazm-e-sukhan men ‘zauq’ hairan hain

mila jo qafiya tu ne kiya tahrir pahlu se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaqin Gum Ho Chuka Humse Guman Mahfuz Rakkha Hai

poet

Mutakabbir Na Ho Zardar Badi Mushkil Hai

Jab Tak Hum Hain Mumkin Hi Nahin Na-Mahram Mahram Ho Jaen

Moajaza Koi Dikhaun Bhi to Kya

aftab-hussain

de Rahe Hain Jis Ko Topon Ki Salami Aadmi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet