Kidhar Abru Ki Uske Dhak Nahin

kidhar abrū kī us ke dhaak nahīñ

kaun is teġh kā halāk nahīñ

misl-e-ā.īna aabrū hai to dekh

varna ghar meñ to apne ḳhaak nahīñ

de hai ham-chashmī us se phir ḳhurshīd

kyā bhalā us ke muñh pe naak nahīñ

chāheñ tauba kī chhāñv ham zāhid

kyā kaheñ dār-bast-e-tāk nahīñ

ḳhabar-e-ġhaib ḳhatra-e-dil hai

varna tā-arsh apnī Daak nahīñ

jis musalle pe chhiḌkiye na sharāb

apne aa.iin meñ vo paak nahīñ

yuuñ to taa.ib haiñ mai se ham bhī pa shaiḳh

gar pilāve koī to baak nahīñ

yaañ vo malbūs ḳhaas na.iiñ juuñ gul

jo qabā das jagah se chaak nahīñ

‘qā.em’ us kūche meñ phire hai magar

abhī kuchh baat Thīk-Thāk nahīñ

Leave a Comment