KHwahishon Ki Baadshahi Kuchh Nahin

ḳhvāhishoñ kī bādshāhī kuchh nahīñ

dil meñ shauq-e-kaj-kulāhī kuchh nahīñ

kyuuñ adālat ko shavāhid chāhiyeñ

kyā ye zaḳhmoñ kī gavāhī kuchh nahīñ

sub.h likkhī hai agar taqdīr meñ

raat kī phir ye siyāhī kuchh nahīñ

soch apnī zaat tak mahdūd hai

zehn kī kyā ye tabāhī kuchh nahīñ

zarf shāmil hai hamāre ḳhuun meñ

ye tumhārī kam-nigāhī kuchh nahīñ

hañs ke miltā hai umūman vo ‘azīm’

is tarah jaise huā hī kuchh nahīñ

Leave a Comment