
Zakir Khan Zakir
ḳhvab-nagar ke shahzade ne aise bhi nirvan liya
chand sajaya ankhon men aur raat ko sar par taan liya
duniya-dari khel-tamasha ishq-o-mohabbat rahat-e-jan
aag men apni jal kar ham ne ban bargad ye gyaan liya
vo ankhen hi aisi thiin ham Duub ga.e anjane men
jaan ke kis ne TuTi-phuTi kashti men tufan liya
kaun sa parda ham se tha tum dil ki baten kah sakte the
muft men tum ne baat baḌha.i ghairon ka ehsan liya
hirs-o-havas ka daur hai is men bikte hain sab rishte-nate
jaan pe apni kyuun kar tum ne auron ka bohtan liya
vaqif kab tha pyaar se pahle lekin ‘zakir’ pyaar ke ba.ad
qismat rekha husn-o-ada aur naz-o-jafa sab jaan liya

Leave a Reply