KHwab Mein Bhi Na Kabhi Un Se Mulaqat Hui

ḳhvāb meñ bhī na kabhī un se mulāqāt huī

hameñ hāsil na kabhī vaj.h-e-mubāhāt huī

fikr-e-fardā hai kabhī ranj-o-ġham-e-dosh kabhī

kis qadar rūh-e-bashar morid-e-āfāt huī

ḳhasta-hālī pe mirī un ko bhī ronā aayā

ba.ad-e-muddat mire vīrāne meñ barsāt huī

vaj.h-e-āshob-e-tamannā huā fikr-e-jannat

vaj.h-e-āsūdgī-e-rūh munājāt huī

tishnagī miT na sakī kām-o-dahan kī ‘fāriġh’

zindagī muft meñ marhūn-e-ḳharābāt huī

Leave a Comment