apni tanhai mire naam pe abad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare
dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka
vo musafir ise har samt se barbad kare
apne qatil ki zehanat se pareshan huun main
roz ik maut nae tarz ki ijad kare
itna hairan ho miri be-talabi ke aage
va qafas men koi dar khud mira sayyad kare
salb-e-binai ke ahkam mile hain jo kabhi
raushni chhune ki khvahish koi shab-zad kare
soch rakhna bhi jaraem men hai shamil ab to
vahi maasum hai har baat pe jo saad kare
jab lahu bol pade us ke gavahon ke khilaf
qazi-e-shahr kuchh is baab men irshad kare
us ki mutthi men bahut roz raha mera vajud
mere sahir se kaho ab mujhe azad kare
Leave a Reply