ḳhvab ko surat-e-halat bana jaata hai
dil ko aana ho to be-vaqt bhi aa jaata hai
ho ke naraz na jaa.e koi mehman varna
ghar se vasf-e-dar-o-divar chala jaata hai
aankh se aankh milana to suḳhan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jaata hai
Thiik kahte ho ki aseb-zada hota hai ishq
mere andar bhi koi shor macha jaata hai
pyaar aa jaa.e to phir pyaar hi kiije varna
jis tarah aata hai us tarah chala jaata hai
main to har faisla hi karta huun apne haq men
par koi adl ki zanjir hila jaata hai
umr-e-rafta men tujhe yaad kahan karta huun
bas zara yuun hi tira dhyan sa aa jaata hai
koi pagal mujhe kahta hai to kya hai ‘mohsin’
ek pagal ko to pagal hi kaha jaata hai
Leave a Reply