ham ne ki hai tauba aur dhumen machati hai bahar
haae bas chalta nahin kya muft jaati hai bahar
lala-e-gul ne hamari khaak par daala hai shor
kya qayamat hai muon ko bhi satati hai bahar
shakh-e-gul hilti nahin ye bulbulon ko baagh men
haath apne ke ishare se bulati hai bahar
ham giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek
ji nikal jaata hai jab sunte hain aati hai bahar
nargis o gul ki khili jaati hain kaliyan dekho sab
phir bhi unhi khvabida fitnon ko jagati hai bahar
Leave a Reply