• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHushi Kaise Mere Dil Ki Chhupai Jaane Wali Hai

KHushi Kaise Mere Dil Ki Chhupai Jaane Wali Hai

ḳhushi kaise mire dil ki chhupa.i jaane vaali hai

ki mahfil teri aamad pe saja.i jaane vaali hai

diya hai daagh ye kah kar mujhe ab bevafa.i ka

vafa ki rasm duniya se uTha.i jaane vaali hai

muḳhalif samt chalti hai muafiq hi nahin rahti

hava se dosti kab tak nibha.i jaane vaali hai

hamesha hakim-o-jabir daba kar jis ko rakhte the

vahi avaz haq ki phir uTha.i jaane vaali hai

payam-e-dilbari dil ke sahife par likha main ne

likhi tahrir par dil se miTa.i jaane vaali hai

agar tum ye samajhte ho mujhe tum bhuul jaoge

haqiqat tum ko duniya men dikha.i jaane vaali hai

suna bhaa.i ko bhaa.i se alag hona hai lazim ab

na.i divar rishton men uTha.i jaane vaali hai

dabe paanv main teri go kahani se nikal aa.i

na ab ye zindagi ‘shamsa’ nibha.i jaane vaali hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shahr-E-Ghazal Mein Bikne Ko Tayyar Kaun Hai

Apne Apne Rang Mein Yakta Main Hi Main Hun Tu Hi Tu Hai

poet

Fasl-E-Gul Ko Zid Hai zaKHm Dil Ka Hara Kaise Ho

Sab Ke Jalwe Nazar Se Guzre Hain

Tughyaniyon Se Apni Nikala Na Kar Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet