ḳhumar-e-tishna-labi men ye kaam kar aa.e
ham apni pyaas ko dariya ke naam kar aa.e
tumhare lams ka sandal mahakne vaala hai
ḳhabar ye ham bhi daraḳhton men aam kar aa.e
use gale se lagana to ḳhvab Thahra hai
yahi bahut hai jo us se kalam kar aa.e
tumhari yaad ki chhanv men din guzara hai
tumhare zikr ke saa.e men shaam kar aa.e
kuchh aur ho na saka ham se is jahan men magar
yahi bahut hai mohabbat men naam kar aa.e
Leave a Reply