• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khuda Qahqaha Lagata Hai

Khuda Qahqaha Lagata Hai

poet

ghazva-e-khandaq ka safar

zaban ki khandaq tak aa pahuncha

lekin sazishen hathiyai nahin ja sakin

iblis ki maayyat men

namaz-e-hajat ada karne vaale

hatheliyon men jannat bhar ke kahte hain

khudaya

ye duudh aur shahd ki nahren

kis ke liye bacha rakhi hain

teri zamin pe to ab

kachre ke dher se

rizq nahin insani khilaune milte hain

zalimon ne mushken kas liin

aur teri daraz rassiyon ne

hazaron iisa maslub kar diye

teri tevri men bal padta hai to

zamin taish men thuthni hilati hai

aur asman saari raat

us pe bhunkta rahta hai

dekh tere khilaunon ki

zaban-darazi badh gai hai

aur likhne valon ke liye

saari kahaniyan

baasi kadhi ke ubaal jaisi ho gai hain

is liye surkhiyon men ab

teri masrufiyat pe saval uthaya ja raha hai

tu chup-chap mitti ko

khanakte hue sunta hai

kabhi bol ke bhi dekh

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kya Jama-E-Phul-Kari Us Gul Ki Phaban Ka Tha

abbas-tabish

Ye Ajab Saat-e-Rukhsat Hai Ki dar Lagta Hai

poet

Wo Gham Jo Hasil-E-Hasti Hai Mil Chuka Ki Nahin

Hum Kahan Hain Ye Pata Lo Tum Bhi

Bajae Ham-Safri Itna Rabta Hai Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet