ḳhuda bhi taraf-dar nikla tumhara
ye jhagḌa chuka ab hamara tumhara
buto shauq-e-didar se sar na chaḌhna
nazara kisi ka tamasha tumhara
baḌe ba-haya aur parda-nashin ho
hai har ku-o-barzan men charcha tumhara
ulu men hi jhuTa huun paiman-shikan huun
nahin ab to kuchh mujh se shikva tumhara
dil aa.e na kyuun kyuun na iman jaa.e
ye surat tumhari ye ghamza tumhara
dil-o-jan ‘kaifi’ hai qurban tum par
nahin is se inkar zeba tumhara
Leave a Reply