ḳhud kisi sat.h pe aane men baḌa vaqt laga
apni pahchan banane men baḌa vaqt laga
ḳhvahish-e-did ke iz.har men bhi der lagi
un ko bhi parda uThane men baḌa vaqt laga
ghar se hijrat pe nikal jaana tha lamhon ka amal
phir kahin basne basane men baḌa vaqt laga
ta.aziyat kijiye ab vaqt-e-ayadat to gaya
aap aa.e magar aane men baḌa vaqt laga
barq ne phunk diya tha jise anan-fanan
us nasheman ko banane men baḌa vaqt laga
sa.at-e-aish ke arman ka natija ma.alum
gham se daman ko chhuḌane men baḌa vaqt laga
kaise halat ki daldal se nikalte ki ‘vaqar’
paanv bhi ham ko jamane men baḌa vaqt laga
Leave a Reply