khud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai
aaj ke daur men jiina bhi adakari hai
tum jo pardes se aao to yaqin aa jaae
ab ke barsat ye sunte hain badi pyari hai
mere angan men to kante bhi hare ho na sake
us ki chhat pe to mahakti hui phulvari hai
chudiyan kanch ki qatil na kahin ban jaaen
sehr-angez buri un ki gulu-kari hai
kaash bijli koi chamke koi badal barse
aaj ki shaam zaminon pe bahut bhari hai
kha gai garmi-e-jazbat ko rasmon ki hava
aaj har shakhs faqat barf ki almari hai
main bhi radha se koi kam to nahin huun ‘shabnam’
sanvle rang ka mera bhi to girdhari hai
Leave a Reply