• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Taraf Hai Us Se Mere dil Ke Lag Jaane Mein dhum

Har Taraf Hai Us Se Mere dil Ke Lag Jaane Mein dhum

poet

har taraf hai us se mere dil ke lag jaane men dhuum

bulbul-o-gul men hai chah-chah sham-o-parvane men dhuum

fitna-gar hai naz-o-ishva us ki chashm-e-shokh men

juun machaven pi ke mai badmast mai-khane men dhuum

yaad men apni hai shayad vo faramush-kar bhi

dil kare hai mujh se us ki yaad dilvane men dhuum

jis tarah bad-e-khizan-dida men aati hai bahar

shahr men hoti hai us ke mere ghar aane men dhuum

naubat auron ki to ai saaqi subu-pardaz hai

kya machai hai hamare ek paimane men dhuum

juun bulandi se gire hai khaak par koi zaiif

hai miri us shokh ki nazron se gir jaane men dhuum

dekh to le ser ho kar tujh ko ye khana-kharab

aate hi kya hai tiri itni bhi ghar jaane men dhuum

barhaman hone ko aata hai naya shaikh aaj kaun

ho rahi hai har taraf ‘hasrat’ sanam-khane men dhuum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Murda Logon Ki Taswiri Numaish

ahmad-rahi

Gham-e-Hayat Mein Koi Kami Nahin Aai

poet

Tum KHafa Kya Hue Hayat Gai

najma-shaheen-khosa

Ye Ishq Ajab Lamha-E-Tauqir Hai Jaanan

Sufi

Aaj Piya Tujh Jaane Na desun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet