• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHud Apne Jurm Ka Mujrim Ko Etiraf Na Tha

KHud Apne Jurm Ka Mujrim Ko Etiraf Na Tha

ḳhud apne jurm ka mujrim ko e’tiraf na tha

magar ye jazba ba-nam-e-junun muaaf na tha

pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho

ye pahle qaid ki divar men shigaf na tha

hasad ki gard thiin bughz aur nafrat ki

mire vajud pe aisa koi ghilaf na tha

ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se

kisi ko yuun to koi mujh se iḳhtilaf na tha

tire jamal se mahfil men ab sukun sa hai

vagarna zehn kisi ka kisi se saaf na tha

mira nasib ki kashti kinare lag na saki

hava ka jhonka to vaise mire ḳhilaf na tha

jadid lahja ye andaz kis liye ‘bekal’

tujhe to husn-e-rivayat se inhiraf na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Itni Shiddat Bhi Kya Pyas Mein Thi

poet

Khuli Hai Aankh Josh-E-Intizar-E-Yar-E-Jaani Hai

KHwab Palkon Pe Meri Aa Ke Machal Jate Hain

munawwar-rana

Lipstick

ambarin-salahuddin

Ek Kahani

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet