Us ghaDi Kuchh the Aur Ab Kuchh Ho

us ghaḌī kuchh the aur ab kuchh ho

kyā tamāshā ho tum ajab kuchh ho

mujh ko kuchh dil par iḳhtiyār nahīñ

tumhīñ is ghar ke ab to sab kuchh ho

kuchh nahīñ baat tis pe ye bāteñ

qahr karte ho tum ġhazab kuchh ho

bahut kī sharm thoḌī sī pī kar

us ke rakhtā huuñ lab pe lab kuchh ho

ishq-bāzī nahīñ ‘razā’-bāzī

pahle jāñ-bāzī kiije jab kuchh ho

Leave a Comment