ḳhud apne aap se ruTha hua huun
samajhte hain vo main un se ḳhafa huun
haqa.eq se chura kar aankh apni
main kin sayon ke pichhe bhagta huun
koi to rasta hoga batana
tire dil tak pahunchna chahta huun
ba-zahir hai hansi honTon pe mere
magar andar se main TuuTa hua huun
jahan ḳhud ko muqaffal kar rakha tha
main us kamre ki chabi kho chuka huun
ye kis ne mujh ko bas men kar liya hai
isharon par main kis ke chal raha huun
agarche haal hai tarik mera
sitara aane vaale vaqt ka huun
tapa huun atish-e-dauran men ‘nayab’
to ab ja kar kahin kundan bana huun
Leave a Reply