khuub hai ashiq suun mil rahna sajan
laad us ka har ghadi sahna sajan
apni khatir suun diya mujh kuun bisar
kya yahi tha tujh seti kahna sajan
rasti se tujh kuun karna hai nibah
haath jo pakda mira dahna sajan
mat pahan zevar apas singar kuun
mehr-o-mah kuun aib hai gahna sajan
dil ne hushyari ki kapde phaad kar
khilat-e-divangi pahna sajan
ashiqan ka kaam hai jyuun khar-o-khas
shauq ke dariyaon men bahna sajan
‘mubtala’ kuun kho ki pachtavega tuun
hai mujhe vajib ita kahna sajan
Leave a Reply