ḳhol ke andar simaT kar rah gaya main
apne saa.e se bhi kaT kar rah gaya main
le gaya vo chhin kar meri javani
us pe bas yunhi jhapaT kar rah gaya main
jab kabhi nikla julus-e-rang-o-nik.hat
TuuTi divaron se saT kar rah gaya main
chal raha tha vo mire shana-ba-shana
ḳhud hi us se duur haT kar rah gaya main
us ne muTThi-bhar mujhe uncha kiya jab
aur bhi ik haath ghaT kar rah gaya main
chaah thi ghul ja.un saare manzaron men
haif kuchh logon men baT kar rah gaya main
barha aisa hua mahsus jaise
asmanon se lipaT kar rah gaya main
Leave a Reply