kamre kī jab se tīrgī baḌhtī chalī ga.ī
zaḳhmoñ se apnī dostī baḌhtī chalī ga.ī
chāroñ taraf se ḳhud meñ lagā.ī ga.ī thī aag
chāroñ taraf hī raushnī baḌhtī chalī ga.ī
maiñ jitnā tere jism ko paḌhtā chalā gayā
ḳhud se phir utnī āgahī baḌhtī chalī ga.ī
‘sājid’ hamāre gaañv meñ dariyā ke bāvajūd
kyā raaz hai jo tishnagī baḌhtī chalī ga.ī