khiḌki se zara jhank le ik baar mire yaar
hai kaun tire dar pe talabgar mire yaar
ik giit sar-e-sham lata-ji ki sharan men
aur us pe tire paanv ki jhankar mire yaar
honThon se gavara nahin ankhon se laga le
hai zehni kashakash men tira yaar mire yaar
ik shaam zara bhar kisi darvesh ki jholi
ye bhi hain tiri zulf ke haqdar mire yaar
mumkin nahin ban ja.un kisi dar ka savali
rahta hai najaf men mira sardar mire yaar
sab laash miri qabr men rakhne pe tule hain
bas ek sada thi ki mire yaar mire yaar
milti na ho roTi jise do vaqt ki ‘sajid’
vo kaise kare ishq ki guftar mire yaar
Leave a Reply