bhanvar se ye jo mujhe badban khinchta hai
zarur koi havaon ke kaan khinchta hai
kisi badan ki siyahat niDhal karti hai
kisi ke haath ka takiya thakan khinchta hai
nashist ke to talabgar hi nahin ham log
hamare paanv se kyuun pa.edan khinchta hai
badal ke dekh chuki hai re.aya sahib-e-taḳht
jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai
dikha raha hai ḳharidar ban ke aaj mujhe
jise lapeT ke rakkhun vo thaan khinchta hai
charaghon men vo charagh is liye numayan hai
ham aise dekhne valon ka dhyan khinchta hai
ye saara jhagḌa tire inhimak ka hi to hai
sameTta hai koi dastan khinchta hai
Leave a Reply