ḳhayali shakl par tera guman hota to kya hota
tasavvur mahv-e-sair-e-la-makan hota to kya hota
pise jaate hain dil raftar se aaj ek aalam ke
jo ai pir-e-falak tu naujavan hota to kya hota
tumhari dosti vaj.h-e-sukun-e-qalb-e-muztar thi
agar dushman hamara asman hota to kya hota
ḳhata kya ki zaban par mudda.a-e-dil agar laaya
ḳhamoshi se jo iz.har-e-bayan hota to kya hota
vo mera dard-e-dil sun sun ke mujh par muskurate hain
ḳhuda na-karda gar main be-zaban hota to kya hota
ye maana dosti ko mar ke sabit kar diya ham ne
kisi ko gham nasib-e-dushmanan hota to kya hota
shikasta kar chuki thi dil ko aafat na-muradi ki
koi TuuTe makan men mehman hota to kya hota
na khulta hashr tak jo farq hai adna-o-a.ala men
na duur itna zamin se asman hota to kya hota
gulistan men taḌap kar kal giri hai jis jagah bijli
vahin yarab hamara ashiyan hota to kya hota
bachaya shirk se ‘mas.ud’ shan-e-be-niyazi ne
agar vahdat pe kasrat ka guman hota kya hota
Leave a Reply