ḳhayal usi ki taraf baar baar jaata hai
mire safar ki thakan kaun utaar jaata hai
ye us ka apna tariqa hai daan karne ka
vo jis se shart lagata hai haar jaata hai
ye khel meri samajh men kabhi nahin aaya
main jiit jaata huun baazi vo maar jaata hai
main apni niind davaon se qarz leta huun
ye qarz ḳhvab men koi utaar jaata hai
nasha bhi hota hai halka sa zahar men shamil
vo jab bhi milta hai ik Dank maar jaata hai
main sab ke vaste karta huun kuchh na kuchh ‘nazmi’
jahan jahan bhi mira iḳhtiyar jaata hai
Leave a Reply