bachpan men man-bap ka saaya
javani tanha tanha
aaj khayal ke galiyare se
kis vaadi men pahuncha huun
jahan mujhe aisa lagta hai
tanhai sannata ban kar
mera pichha karti hai
shayad koi yaad ka saaya
ik monis ik sathi hai
kabhi kabhi
aisa lagta hai
ye gulnar jivan mera
aise mod pe chhodega
jahan na koi sathi hoga
aur na koi monis
bas meri tanhai hogi
biite dinon ki yaden hongi
aise khayalat satate hain
jab jab main tanha hota huun
Leave a Reply