ḳhata anjam ho kar rah gaya hai
bashar nakam ho kar rah gaya hai
tira milna ba-qaid-e-zindagani
ḳhayal-e-ḳham ho kar rah gaya hai
fareb-e-e’tibar-e-sa.i-e-paiham
mira anjam ho kar rah gaya hai
har ik unvan bayaz-e-arzu ka
tira paigham ho kar rah gaya hai
dil-e-nakam ka har dagh-e-hasrat
savad-e-sham ho kar rah gaya hai
vafa ka naam ‘farigh’ is jahan men
bara.e-nam ho kar rah gaya hai
Leave a Reply