ḳhamoshiyon men saval kya hai koi na samjha
hamen hai kya gham malal kya hai koi na samjha
sabhi ne ik ek rang apna bana liya hai
magar ye rangon ka jaal kya hai koi na samjha
javab dene ki itni jaldi paḌi thi sab ko
saval ye hai saval kya hai koi na samjha
pata tha sab ko siyasi mohre bichhe hue hain
magar siyasat ki chaal kya hai koi na samjha
kiya tha chehra shanas hone ka sab ne da.ava
magar mire dil ka haal kya hai koi na samjha
Leave a Reply