ḳhalish-e-zaḳhm-e-tamanna ka mudava bhi na tha
main ne vo chaha jo taqdir men likkha bhi na tha
itna yaad aa.ega ik roz ye socha bhi na tha
haa.e vo shaḳhs ki jis se koi rishta bhi na tha
kyon use dekh ke baḌhti thi miri tishna-labi
abr-para bhi na tha vo koi dariya bhi na tha
dil vo sahra ki jahan uḌti thi halat ki gard
gham vo badal jo kabhi khul ke barasta bhi na tha
tu ne kyon jagte rahne ki saza di mujh ko
tere baare men koi ḳhvab to dekha bhi na tha
ho ga.e log ye kyon mere lahu ke pyase
main ne to aankh uTha kar use dekha bhi na tha
kuchh jhijakti hui nazren bhi thiin mahv-e-gul-gasht
main chaman-zar-e-tasavvur men akela bhi na tha
ba.az raton men ye manzar bhi nazar se guzra
sham.a bhi jalti rahi ghar men ujala bhi na tha
kabhi ban ja.egi yuun yaad tiri juzv-e-hayat
main ne is ruḳh se tire baab men socha bhi na tha
asman aur zamin hadd-e-nazar tak the muhit
ham kahan jaate nikal kar koi rasta bhi na tha
kuchh umiden thiin umangen thiin tamanna.en thiin
dil tiri raah men nikla to akela bhi na tha
umr bhar karte rahe ghar ki tamanna ‘tahir’
aur taqdir men divar ka saaya bhi na tha
Leave a Reply