ḳhalish-e-nihan ki vo lazzaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
vo nafas nafas men qayamaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
kabhi qurbaton men ye duriyan ki zaban dil ki na kah sake
kabhi duriyon men bhi qurbaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
vo junun-e-shauq ki mastiyan vo niyaz-o-naz ki garmiyan
vo nazar nazar men hikayaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
kabhi shikva-ha-e-itab men bhi hazar shukr ki jhalkiyan
kabhi shukr men bhi shikayaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
vo tumhara ‘shariq’-e-be-nava ki nahin hai jis ka koi yahan
vo vafa ki us ki hikayaten tumhen yaad hon ki na yaad hon
Leave a Reply