• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khaksari Se Jo Ghafil dil-E-Ghammaz Hua

Khaksari Se Jo Ghafil dil-E-Ghammaz Hua

poet

khaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua

khaak ke parde men poshida mira raaz hua

le gaya khat jo kabutar ki tarah tair-e-dil

zulf ke jaal men phanste hi girah-baz hua

saaz ke parde men ki tu ne hukumat sab par

nae qanun se tayyar tira saaz hua

hairati fasl-e-chaman men hui sarsabz aisi

sabza rukhsara-e-tasvir se aghaz hua

raat sharma ke tire balon se ru-posh hui

zagh-e-shab ke liye gesu par-e-parvaz hua

kothe par chehra-e-pur-nur dikhaya sar-e-sham

yaar se rajat-e-khurshid ka eajaz hua

chaman-e-dahr men the dida-e-unqa nargis

jab se main shefta-e-chashm-e-fusun-saz hua

sifat-e-abla mina-e-falak tuut gaya

kya qayamat tiri raftar ka andaz hua

jab hua mahv-e-ada baagh men vo khusrav-e-husn

phulon ke aks se gulgun faras-e-naz hua

aap munh dekhne ko aina-e-dil manga

tasfiya us but-e-kafir se khuda saaz hua

arsa-e-dahr men bandha jo tilism-e-ulfat

dushman-e-jan falak-e-shobada-pardaz hua

jaan leta hai tiri tir-e-nigah se sab ki

ai pari paik-e-qaza bhi qadar-andaz hua

sumbul-e-ah hua turra-e-shamshad-e-bahisht

ham-baghal mujh se jo vo sarv sar-afraz hua

us se kuchh kah ke mujhe zabh kiya baton men

tez-tar tegh-e-ajal se lab-e-ghammaz hua

log karte hain kamal-e-rukh-e-zeba ka vasf

khalq ko yaad tira mushaf-e-eajaz hua

ai mughanni dil-e-nadan nikal aaya bahar

aaj be-parda zamana men tira saaz hua

roz-e-furqat ne kiya tair-e-dil ko haijan

gul-e-khurshid mujhe jangal-e-shahbaz hua

bosa manga na gaya honton ka ai rashk-e-pari

rang missi ka mujhe surma-e-avaz hua

nashsha-e-ghamza-o-andaz se sarshar huun main

kasa-e-umr-e-ravan jam-e-mai-e-naz hua

tar-dimaghi jo badhe nashsha-e-maani ki ‘munir’

kasa-e-sar mujhe jam-e-mai-e-shiraz hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Pahuncha Hua Musafir Hai

poet

Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna

Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-O-Qasam Ka Sachcha Tha

poet

Ijad Gham Hua Dil-E-Muztar Ke Waste

Din Bhar Ghamon Ki Dhup Mein Chalna paDa Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet