Khak par hi mere aansu hain na daman mein kahin
jo teri rah mein khoya gaya paya na gaya
sabab-e-Khanda-e-gul gul ko nahin Khud malum
is tarah koi bhi diwana banaya na gaya
muKhtalif naghme se hai qalb-e-mughanni ka raaz
jo lab-e-saz pe bhi bazm mein laya na gaya
rakh diya Khalq ne nam us ka qayamat ai ‘zeb’
koi fitna jo zamane se uthaya na gaya
Leave a Reply