ḳhaak men milti hain kaise bastiyan malum ho
aane valon ko hamari dastan malum ho
jo idhar ka ab nahin hai vo kidhar ka ho gaya
jo yahan madum ho jaa.e kahan malum ho
marhala tasḳhir karne ka ise asan hai
gar tujhe apna badan saara jahan malum ho
jo alag ho kar chale sab ghumte hain us ke gird
yuun juda ho kar guzar ki darmiyan malum ho
kitni majburi hai la-mahdud aur mahdud ki
be-karan jab ho saken tab be-karan malum ho
ek dam ho raushni to kya nazar aa.e ‘malal’
kya samajh pa.un jo sab kuchh na-gahan malum ho
Leave a Reply