
Jafar Sahni
ḳhaak men lipTi kahani aur hai
rang lekin asmani aur hai
kal talak vo banTti ḳhushbu rahi
ab hava ki chheḌ-ḳhani aur hai
dhuup ke sahra men chal kar dekhna
ablon ki shadmani aur hai
chintiyon se phir mira va.ada hua
ek koshish azmani aur hai
raat ke ghar men baḌa kohram tha
sub.h ki ab be-zabani aur hai
titliyon ko thi saba ki justuju
gulistan men hukmarani aur hai
konplen izn-e-safar ki muntazir
zard patton men kahani aur hai
mehrban phulon pe lagti thi hava
bahte paani ki ravani aur hai
haan nadamat tujh ko honi chahiye
haif ‘ja.afar’ paani paani aur hai

Leave a Reply