• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHak Hoti Hui Hasti Se uTha

KHak Hoti Hui Hasti Se uTha

ḳhaak hoti hui hasti se uTha

ishq ka bojh bhi miTTi se uTha

hijr tha bar-e-amanat ki tarah

so ye gham aḳhiri hichki se uTha

lau tire ba.ad baḌhi ashkon ki

sho.ala-e-ishq bhi paani se uTha

dil ne abad kiya ishq-abad

ḳhaak ho kar usi basti se uTha

dil usi dard ki zulfon ka asiir

haa.e vo dard jo pasli se uTha

ya mujhe qaid-e-anasir se nikal

ya miri ḳhaak ko pasti se uTha

aḳhiri vaqt men har ranj ka bojh

ḳham-shuda riiḌh ki haDDi se uTha

is se pahle ki mira naam aa jaa.e

mujhe is Dolti kashti se uTha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Us Dil Ki Musibat Kaun Sune Jo Gham Ke Muqabil Aa Jae

poet

Aate Aate Tarf Mere Mud Ke Phir Kidhar Chale

Haal-E-Dil Kuchh Jo Sar-E-Bazm Kaha Hai Maine

Bas Ek Bund Thi Auraq-E-Jaan Mein Phail Gai

Tanhai Ne Phir Bazm Saja Li Hai to Kya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet