ḳhaak ho kar bhi kab miTunga main
phuul ban kar yahin khilunga main
tujh ko avaz bhi main kyuun dunga
tera rasta bhi kyuun takunga main
ik purane se zaḳhm par ab ke
koi marham naya rakhunga main
gher lengi ye titliyan mujh ko
ḳhushbuen jiyun riha karunga main
ḳhud se bahar to kam nikalta huun
ji men aaya to phir milunga main
varna jiina muhal kar dega
dard ko ab ghazal karunga main
dhukdhuki si lagi hai kyuun ji ko
itni jaldi kahan marunga main
sansen deti rahin jo chingari
ek jangal sa jal uThunga main
thak gaya huun main is jazire par
phir samundar ka ruḳh karunga main
ruuh ka ye libas badlunga
bhes duuja koi dharunga main
Leave a Reply