kahani kuchh bhi nahin thi bayan ziyada tha
zara si aag lagi thi dhuan ziyada tha
vo karvan men na tha aisi koi baat nahin
bichhaḌ gaya tha ki vo bad-guman ziyada tha
bas is sabab se na raas aa saki hamen ye zamin
ki apne zehn men ye asman ziyada tha
main us ke saath safar kar saka na duur talak
ki lafz lafz vo mujh par ayaan ziyada tha
to is men kya hai ta.ajjub hue jo aap tabah
‘obaid’ aap pe vo mehrban ziyada tha
Leave a Reply