fasl-e-gul ka gham dil-e-nashad par baaqi raha
hashr lag ye muzlima sayyad par baaqi raha
khol kar zulfon kuun aaya sarv-qad jab baagh men
naqsh-e-hairat turra-e-shamshad par baaqi raha
jal gaya parvana pan mujh sa samundar-khu nahin
ye sukhan shagird ka ustad par baaqi raha
ashiqi men kab rava hai is tarah ki zalimi
khun-e-shirin gardan-e-farhad par baaqi raha
rah gae zauq-e-tabassum men taghaful ke shahid
bismilon ka khun-baha jallad par baaqi raha
ulfat-e-laila ne majnun ka mitaya sab nishan
naam us ka safha-e-ijad par baaqi raha
khol chashm-e-lutf de jagir maqsud-e-‘siraj’
shama-ru parvana-dil sayyad par baaqi raha
Leave a Reply