khabar nahin kai din se vo diq hai ya khush hai
khushi tabhi ho ki jab sun luun dil-ruba khush hai
zara bhi bigde to bigde zamana sab mujh se
khushi hai vo to har ik dost ashna khush hai
pada huun jab se ki bimar ho ke main ghar men
har ek ghair adavat se phirta kya khush hai
magar hai us ki inayat to gham nahin kuchh bhi
vo mujh se khush rahe bas phir to dil mira khush hai
main ek gham nahin sau jaan par utha lunga
mire satane se kah de ki dil tira khush hai
sabab to kuchh nahin maalum haae kya main karun
vo aap hi aap kai din se mujh se na-khush hai
vo baat kaun si hai jo nahin samajhte ham
fareb de ke hamen kyuun tu bevafa khush hai
‘nizam’ kaun sa din ho jo vaan pe jaun main
kahen vo hans ke mizaj ab to aap ka khush hai
Leave a Reply