• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khaar Matlub Jo Howe To Gulistan Mangun

Khaar Matlub Jo Howe To Gulistan Mangun

haidar-ali-aatish

khaar matlub jo hove to gulistan mangun

bijli girne ko jo ji chahe to baran mangun

shama gul hove jo subh-e-shab-e-hijran mangun

os padni bhi ho mauquf jo yaran mangun

khaak men bhi jo milun main to kisi sahra men

tum se mitti bhi na ai gabr o musalman mangun

bakht-e-vazhun ne zaban ko ye asar bakhsha hai

talkhi-e-marg maza de jo namakdan mangun

khana-e-dil men karun dagh-e-mohabbat ko talab

raushni ke liye is ghar ke jo mehman mangun

padshahi se faqiri ka hai paaya baala

boriya chhod ke kya takht-e-sulaiman mangun

ranj se ishq ke hai raht-e-duniya bad-tar

zakhm-e-khandan huun agar main gul-e-khandan mangun

de diya kijiye saudai tumhara huun miyan

sunghne ko jo kabhi zulf-e-pareshan mangun

ashiqe-e-dast-e-nigarin huun ajab kya is ka

bhiik dariya se agar panja-e-marjan mangun

meve par bagh-e-jahan men ho jo dil ko raghbat

shajar-e-husn se main seb-e-zanakhdan mangun

jama-e-jism bhi rakhne ka nahin dast-e-junun

pairahan-e-khak men divana-e-uryan mangun

yas-o-hirman huun jo lohe ke chane bhi to chabaun

neamat-e-ishq ke qabil lab-o-dandan mangun

milti ho mangne se bagh-e-jahan men jo murad

gul se bulbul ke kafan ke liye daman mangun

kab se dar par tire saail huun main ‘atish’ ki tarah

vo mile mujh ko jo kuchh ai shah-e-khuban mangun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rah-E-Talab Mein Dam-O-Diram chhoD Jaenge

Ek Aas to Hai Koi Sahaara Nahin to Kya

Khule Hain Dasht Mein Nafrat Ke Phul Aahista Aahista

Ye Shab O Roz Jo Ek Be-Kali Rakkhi Hui Hai

Sufi

Zindagi Bhar Jinhon Ne dekhe Khwab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet