Khaali Hathon Mein Mohabbat banTti Rah Jaungi

ḳhālī hāthoñ meñ mohabbat bāñTtī rah jā.ūñgī

apne ḳhālī haath āḳhir dekhtī rah jā.ūñgī

kuuch kar jā.eñge sab dasht-e-vafā se qāfile

ḳhvāb āñkhoñ meñ liye maiñ soī hī rah jā.ūñgī

bhuul jā.egā koī mujh ko bujhāne kā hunar

sub.h bhī aa.ī to shab bhar se jalī rah jā.ūñgī

pā.ūñgī jurm-e-mohabbat kī anokhī sī sazā

vaqt ke hoñToñ pe maiñ ik an-kahī rah jā.ūñgī

tum ne chhoḌā hai to raste aur raushan ho ga.e

tum ye samjhe the ki raste meñ khaḌī rah jā.ūñgī

vus.at-e-aflāk meñ bhī nisbat-e-zohra kahāñ

TuuT kar bhī lamha bhar kī raushnī rah jā.ūñgī

aaj sochā hai ki ḳhud raste banānā siikh luuñ

is tarah to umr saarī sochtī rah jā.ūñgī

Leave a Comment