khal-e-mashshata bana kajal ka chashm-e-yar par
zaagh ko bahr-e-tasadduq rakh sar-e-bimar par
mujh ko rahm aata hai dast-e-nazuk-e-dildar par
main hi rakh dunga gala ai hamdamo talvar par
be-suvaida haath dil mat daal zulf-e-yar par
maash pahle padh ke mantar phenk ru-e-yar par
gar hifazat rukh ki hai manzur to mitva na khat
baghban rakhta hai kante baagh ki divar par
kaun kahta hai ki sabza aag par ugta nahin
khat hai paida yaar ke dekho rukh-e-gulnar par
dekh mizhgan par miri tughyani-e-sail-e-sarishk
nuuh ka tufan na dekha hove jis ne khaar par
jis ko dekha hi nahin us ke vatan men qadr-e-khak
baagh se ho kar juda pahunche hai gul dastar par
haq agar puchho to ejaz-e-sar-e-mansur tha
varna lagna tha taajjub phal ka nakhl-e-dar par
Leave a Reply