kaun vaan jubba-o-dastar men aa sakta hai
ghar ka ghar hi jahan bazar men aa sakta hai
kis liye ḳhud ko samajhta hai vo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar men aa sakta hai
mujh ko ma.alum hai dariyaon ka kaf hai tujh men
tu mire mauja-e-pindar men aa sakta hai
ai hava ki tarah aThkheliyan karne vaale
bal kabhi vaqt ki raftar men aa sakta hai
sar pe suraj hai to phir chhanv se mahzuz na ho
dhuup ka rang bhi divar men aa sakta hai
ye jo main apne ta.iin sha.eri karta huun ‘azim’
kya taḳhayyul mira iz.har men aa sakta hai
Leave a Reply